Wednesday, March 4, 2009

Itna To Karna Swami


itna to karna swami, jab prana tan se nikale
govinda nama leke, tab prana tan se nikale

sri ganga ji ka tata ho yamuna ka vamsivata ho
mera sanvara nikata ho jab prana tan se nikale

pitambari kasi ho chavi man men ye basi ho
honthon pe kuch hasi ho jab prana tan se nikale

jab kanta prana aye koi roga na sataye
yama darasa na dikhaye jab prana tan se nikale

us waqt jaldi ana nahin syam bhula jana
radhe ko sath lana jab prana tan se nikale

ek bhakta ki hain arzi khudgarz ki hain garzi
age tumhari marzi jab prana tan se nikale


Rendered by Anup Jalota.

No comments:

Post a Comment